Thursday, 5 June 2014

Jise Jaan Maan Baithe Apni, Wo Nikla Hamse Begana

Ek Dard Utha Jab Ye Jaana, Wo Aur Kisi Ka Diwana
Ek Khawab Mera Bhi Tha Usase, Usne Na Use Kyun Pahchana
Main Yaad Use Hi Karta Hun, Ye Baat Use Batlaani Thi
Mere Asq Bahe Tanhayi Men, Wo Dard Mera Na Pahchana

Wo Dil Ko Mere Yun Tod Gaya, Dil Ne Jisko Apna Mana
Jise Jaan Maan Baithe Apni, Wo Nikla Hamse Begana
Par Sach Bolun To Khush Bhi Hun, Main To Hun Uska Diwana
Wo Chhod Gaya Achchha Hi Kiya, Nahin Pyaar Ka Matlab Paajana

Apni To Dua Bas Itni Ha,i Wo Rahae Jahan Khushiyon Me Rahe
Ab Aaj Mujhe Mauka Hai Mila, Ki Yaad Karun Har Afsana
Khwahis Itni Fir Bhi Hai Bachi, Koyi To Unhe Ye Batlana

Jab Jaaun Main Duniya Se Teri, Mujhe Tum Surat Dikhla Jana

1 comment:

  1. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete