Wednesday, 26 March 2014

Use Main Aaj Fir Se Ek Insan Banun Kaise ?????????????????????????


Ham Jasne Muhabbat Bhala Aj Manayen Kaise,
Jo Hamen Chhod Gaye Unko Bhulayen Kaise
Muhabbat Sirf Ho Mahboob Se Jaroori To Nahi
Vatan Ko Har Naujavan Ka Mahboob Banayen Kaise ???????????????????

Jara Socho Sahadat Desh Par Un Sahidon Ki
Kya Tha Unke Dilon Men Aaj Batayen Kaise
Jo Kahin Khamosh Ho Chuki Hai Aaj Viran Kitabon Men
Vo Ginti Aaj Maon Ki, Bahno Ki Beton Ki Ginayen Kaise ????????????????


Aaj Bat Gaya Insane Rang, Vard, Jaati Aur Seema Se
Koi Puche Pujari Se Fader Se Gurun Se Ulema Se
Jinhe Bata Inho Ne Dharm Ka Vasta De De Ke
Use Main Aaj Fir Se Ek Insan Banun Kaise ?????????????????????????

Aaj Hindu Hain Muslaman Hai Sikh Aur Isayi Bhi Hain
Kuch Dharm Ke Naam Par Insaan Ko Katate  Kasyi BHI HAIN
Jandhe Ho Chuke Hain Aaj Paise Aur Dharm Ke Naam Par
Bhala Un Andhon Ko Ayina Main Dikhaun Kaise ??????????????????





No comments:

Post a Comment