Friday, 31 January 2014

Badlane Wakt Ko Bhi Aaj Fir Taiyar Hun Main ......................||

Is Bahte Wakt Me Bahti Huyi Divaar Hu Main
Sambhal Ke Hath Lagana Ki Ek Talvar Hun Main.......

Jo Badal Jaate Hai Har Mod Par Waqt Ki Tarah
Unhe Dene Ko Takkar Waqt Par Ab Taiyar Hun Main ..........

Sambhal Jaao Nari Ka Daman Uchhalne Walon,
Ukhad Sakte Hai Tumhare Hath Wo Hathiyar Hun Main..........

Itihash Kahta Hai Ki Naari Se Hi Samman Jinda Hai
Ke Is Yug Men Bhi Usi Samman Ki Haqdar Hun Main....................

Sambhal Jaayen Unhe Kahdo, Kahen Jo Waqt Badla Hai

Badlane Wakt Ko Bhi Aaj Fir Taiyar Hun Main ......................||

No comments:

Post a Comment