Saturday, 26 May 2012

MERE DIL KO JALA DALA HAI

Jinki khushiyon ke liye ladate the khuda se kabhi,
Aaj unki khushiyon ne mere dil ko jala dala hai;
Chahat thi ki wo khush rahe hardam 
Isi chahat ne meri khusiyon ko mita dala hai

Mere jazbat juda kab the unse
Fir bhi kya khub shiila hamko mila
Bari chahat se aashiyan banaya tha unke liye
Usne wo ashiya hi jala dala ha

Jo pucha unse ki kya raaj hai is ke piche
Kyun hame is kadar tadpate ho ?
To mujhko khatawar bataya usne
Jisko is dil ka khuda bana dala hai

Badi minnat ki aur puchi khata apni
Ki bata de tujhe kab maine dard diya
Kaha badal gayi hai meri har harqat
Jabki uski chahat me khud ko dhala hai 

No comments:

Post a Comment